Showing posts with label nehjul balagha. Show all posts
Showing posts with label nehjul balagha. Show all posts

Monday, 23 September 2013

Sayings Of Hazrat Ali a.s

  • Sayings of Imam Ali Ibn Abi Talib (A.S.)



The following sayings of Imam Ali (A.S) are taken from Du'a-e Kumail, trans. N. Hussein Mardi, Chehel Sotoon Theological School: Iran, 1989.

  • The most complete gift of God is a life based on knowledge. 
  • The innumerable fools have made the learned very scarce. 
  • The learned man understands the ignorant for he was once ignorant for he was once ignorant himself. 
  • The ignorant man does not understand the learned for he has never been learned himself. 
  • Knowledge gives life to the soul. 
  • To respect the learned is to respect God. 
  • Knowledge creates fear of God. 
  • Practice makes knowledge perfect. 
  • To teach is to learn. 

  • Honesty is Divine language. 
  • To fulfill promises is the highest form of integrity. 
  • Truth means conformity of speech with the Divine mode of working. 

  • Friendship is impossible with a liar. 
  • Misrepresentation spoils narration. 
  • Lying spoils news. 
  • Enemity is the occupation of fools. 
  • One's obedience to God is proportionate to one's wisdom. 
  • To fight against one's own desires is highest wisdom. 
  • The wise aim at perfection. 
  • The foolish aim at wealth. 
  • To separate oneself from things of time and to connect oneself with things of eternity is highest wisdom. 
  • He is really wise whose actions reflect his words. 
  • Humility is the product of knowledge. 
  • Self-conceit poisons the mind. 
  • Self-conceit impedes progress. 
  • Pride mars greatness. 
  • Humility is one of the nets spread by real greatness. 
  • Boasting issues from small minds. 

Sunday, 22 September 2013

Saying of Imam Ali a.s From Nehjul Balagha

Extracts From Nehjul Balagha


Hazrat Ali AS ne farmaya: Dunya ne peeth phair kar apnay ruksat honay ka aelaan aur manzil e uqbaa ne saamnay aa kar apni aamad se aagaah kar dia hai. Aaj ka din tayyari ka aur kal dor’ ka hoga. Jis taraf aagay bar’hna hai wo to jannat hai. Aur jahan kuch loge puhanch jaaengay wo dozakh hai. Kya moat se pahlay apnay gunahon se tauba karnay wala koi nahi aur kya iss roz e museebat k aanay se pehlaynamal karnay waala aik bhi nahi. (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: . Tum umeedon k doar men ho jiss k peechay moat ka hangaama hai. Jis tarah iss waqt jab naagawaar haalaat ka andaisha ho naik aamaal men munhamik hotay ho waisa hi uss waqt bhi naik aamaal karo jab k mustaqbil k aasaar mussarat afza mehsoos ho rahay hon (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo huq se faaeda nahi uthaata ussay baatil ka nuqsaan o zarar uthaana paraiga. Jis ko hidayat saabit qadam na rakhay ussay gumraahi halaakat ki taraf khainch lay jaaegi. Tumhaeen kooch ka hukm mil chukka hai aur safar k saamaan ka pata dia ja chukka hai . (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne faramaya: Mujhay tumharay muta’aliq sab se zyada do hi cheezon ka khatra hai. Aik khuwahishon ki pairvi aur doosra umeedon ka phailaao. Iss dunya men rehtay huay iss se itna saamaan le lo jiss se kal apnay nafson ko bacha sako (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Tumhari batain to sakht patharon ko bhi naram kar daiti hen aur tumhara amal aisa hai k jo dushmanon ko tum par daant taiz karnay ka moka daita hai. Apni mehfilon men to tum kehto ho k ye kar daingay aur wo kar daingay aur jab jang chir’h hi jaati hai to tum iss se panaah maangtay ho. Jo tum ko madad k liay pukaaray uss ki sada be wuq’at aur jiss ka tum jaisay logon se waasta para ho uss ka dil hamaisha be chain rehta hai (Khutba 29 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Zaleel aadmi zillat aamaiz zyaadatiyon ki rok thaam nahi kar sakta aur haq to baghair koshish k nahi mila karta. Iss ghar k baad aur kon sa ghar hai jis ki hifazat karaogay(Khutba 29 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda ki qasam meri kaifiyat to ye hai k na mein tumhari kisi baat ki tasdeeq kar sakta hoon aur na tumhari nusrat ki mujhay koi aas baaqi rahi hai aur na tumhari waja se dushman ko jang ki dhamki de sakta hoon. Tumhain kya hogaya, tumhara marz kya hai aur iss ka ilaaj kya hai. Uss qoam k afraad bhi to tumhari shakl o soorat k mard hen. Kya baatain hi baatain rahain gi. Jaanay boojhay baghair aur sirf ghaflat o madhoshi hai (Khutba 29 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Logo hum ik aesay kaj raftaar zamanay aur nashukar guzaar dunya men paida huay hen k jis men naik o kaar ko khataa kaar samjha jaata hai aur zaalim apni sarkashi men barhta hi jaata hai. Jin cheezon ko hum jaantay hen unn se faaeda nahi uthaatay aur jin cheezon ko nahi jaantay unhain daryaaft nahi kartay aur jab tak museebat nahi aati hum khatra mehsoos nahi kartay. (Khutba 32 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Kuch Loge Wo hen jo Aelaaniya shar phela rahay hen aur unhon ne apnay sawaar aur pyaaday jama kar rakhay hen. Sirf kuch maal batornay ya kisi dastay ki qayaadat kartay ya minbar par buland honay k liay unhon ne apnay nafson ko waqf kar dia hai aur deen ko tabaah o barbaad kar daala hai. Kitna hi bura hai k tum dunya ko apnay nafs ki qeemat aur Allah k haan k neamaton ka badal qaraar de lo aur kuch wo loge hen jo aakhirat waalay kaamon se dunya talbi kartay hen(Khutba 32 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Kuch Logon ne qanaat k naam apnay aap ko aaraasta kar rakha hai aur zaahidon k libaas se apnay aap ko saja lia hai. Haalaankay unhain in cheezon se kisi waqt bhi koi lagaao nahi raha. Iss k baad thoray se wo loge reh gaey hen jin ki aankhain aakhirat ki yaad aur hasher k khof se jhuki hui hen aur unn se aansoo rawaan rehtay hen. Unn men se kuch to wo hen jo dunya waalon se alag thalag tanhaai men paray hen aur kuch khof o hiraas k aalam men zillatain sah rahay hen (Khutba 32 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne apnay jootay ki taraf ishara krtay huay farmaya: Agar meray paish e nazar haq ka qayaam aur baatil ka mitaana na ho to tum logon par hakoomat karnay se ye joota mujhay kaheen zyaada azeez hai (Khutba 33 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Tumharay Khilaaf sab tadbeerain hoti hen aur tum dushmanon k khilaaf koi tadbeer nahi kartay.Tumharay hadood kam hotay ja rahay hen magar tumhain ghussa nahi aata. Wo tumhari taraf se kabhi ghaafil nahi hotay aur tum ho k ghaflat men sab kuch bhoolay huay ho. Khuda ki qasam aik doosray par taalnay waalay haara hi kartay hen. Agar jang zor pakar lay aur moat ki garam baazaari ho to tum Ali Ibn e Abi Talib se iss tarah kat jaaogay jis tarah badan se sar (Khutba 34 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mera tum par ye haq hai k bayyat ki zimadaari poori karo aur saamnay aur pas e pusht khair khuwaahi karo (Khutba 34 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mehrbaan, baa jabar aur tajarba kaar naseehat karnay waalay ki mukhaalifat ka samar hasrat o nidaamat hota hai (Khutba 35 Nehjul Balagha)

Aqwal e HAzrat Ali a.s

Saying of Imam Ali a.s from Nehjul Balagha


  • Hazrat Ali AS ne farmaya: (Aey Logo socho) Ye Insaan (ki khilqat) hairat angaiz hai k wo charbi se daikhta hai, gosht k lothar’ay se bolta hai, haddi se sun’nta hai aur soraakh se saans laita hai (Hikmat No 7 Nehjul Balagha)

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jab dunya kissi par meharbaan hoti hai to doosray ki khoobyaa’n bhi riaayatan ussay de daiti hai aur jab ussay chorti hai to khud uss ki khoobyaa’n bhi uss se cheen laity hai (Hikmat No 8 Nehjul Balagha)

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Logo’n se iss tarah milo k agar mar jaao to tum par roe’n aur agar zinda raho to tumhaaray mushtaaq ho’n (Hikmat No 9 Nehjul Balagha)

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Dushman par qaaboo paao to iss qaaboo paanay ka shukraana, iss ko maaf kar daina qaraar do (Hikmat No 10 Nehjul Balagha)


  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Bad qismat woh hai jo apni umar men kuch mukhlis dost na bana sakay aur iss se bhi zyaada bad qismat wo hai jo paa kar inhain kho de (Hikmat No 11 Nehjul Balagha)


  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jab tumhain thori buhat naematai’n haasil ho’n, to naa shukri se inhain apnay tak puhanchnay se pahlay na bhagaao (Hikmat No 12 Nehjul Balagha) 

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jissay apnay chor daitay hen ussay paraaey mil jaatay he’n (Hikmat No 13 Nehjul Balagha)

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Har fitnay men par jaanay waala qaabil e ataab nahi hota (Hikmat No 14 Nehjul Balagha)



  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo shaks khwaahisho’n k peechay deewaano’n ki taraah bhaagta hai,wo moat se thokar khaata hai (Hikmat No 18 Nehjul Balagha)



  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Fayyaz logo’n ki ghaltiyo’n ko maaf kar do kyu’n k unn men jo ghalti ki waja se girta hai, to Allah, haath de kar ussay upar uthaa laita hai (Hikmat No 19 Nehjul Balagha) 

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jissay, uss k aamaal peechay hata de’n, ussay zaat ya nasal aagay nahi bar’ha saktay (Hikmat No 22 Nehjul Balagha).


  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Kissi paraishaan ki faryaad sun’na aur museebat zada ko museebat se chutkaara dilaana, baray baray gunaaho’n ka kafaara hai (Hikmat No 23 Nehjul Balagha) 


  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Insaan, agar tum daikho k Allah tumhain aik k baad aik naemat se nawaaz raha hai aur tum Uss ki naafarmaani kar rahay ho to Uss se dartay rahna (Hikmat No 24 Nehjul Balagha
  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Aksar, dil men chupi baat, zabaan se niklay huay be saakhta alfaaz aur chahray k aasaar se numaayaa’n ho jaati hai (Hikmat No 25 Nehjul Balagha

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Marz me’n jab tak himmat saath de, chaltay phirtay raho(himmat se kaam lo) {Hikmat No 26 Nehjul Balagha

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Behtareen Taqwaa, taqway ka chupa kar rakhna hai (riyaakari se bachna hai) {Hikmat No 27 Nehjul Balagha

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Agar tum ne dunya se jaana hi hai aur moat se mulaaqaat karni hi hai to phir mulaaqaat me’n dair ki khuwaahish kyoo’n (Hikmat No 28 Nehjul Balagha) 

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda se daro k Allah ki qasam, Uss ne iss had tak tumhaaray gunaaho’n ki parda poshi ki hai k goyaa tumhai’n baksh hi dia ho (Hikmat No 29 Nehjul Balagha) 
  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jissay moat ka intezaar hoga, wo naik kaamo’n men jaldi karaiga (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha


  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne ghor o fikar kiya, wo ilm ki gahraai tak puhancha, aur jo ilm ki gahraai me’n utra, wo faislay k sarchashmo’n se sairaab ho kar palta (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha)

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jihaad ki 4 shaakhai’n hen, Amar bil maaroof, Nahi anil mukir, tamaam moqo’n par sach bolna aur bad kirdaaro’n se nafrat (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha) 

  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne Amar bil maaroof kia, uss ne momino’n ki pusht mazboot ki, jiss ne Nahi anil munkir kia, uss ne kaafiro’n ko zaleel kia aur jiss ne tamam moqo’n par sach bola, uss ne apna farz adaa kar dia (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha)
  • Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne faasiqo’n ko bura samjha aur Allah k liay unn par ghazabnaak hua, Allah bhi unn k liay doosro’n par ghazabnaak hua aur qayaamat k din uss ki khushi ka saamaan karay ga (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha) 

Saying of Imam Ali a.s

Extracts From Nehjul Balagha


Hazrat Ali AS ne farmaya: Un logon k baarey men jo ummat k faislay chukaanay k liay masnad e qaza par baith jaatay hen haalaankay wo is k ahal nahi hotay, tamaam logon men Khuda k nazdeek 2 shaks ghazab k mustahiq hen. Aik wo jisay Allah ne apnay nafs k hawalay kar dia ho jis k baad wo seedhi raah se hata ho. Biddat ki baton par qurbaan aur gumrahi ki tableegh par mita hua hai. Wo apnay maan’nay waalon k liay fitna aur pichlay logon ki hidayat se hata hua hai. Wo tamam un logon k liay jo is ki zindagi men ya us ki moat k baad us ki pairvi Karen gumraah karnay waala hai. Wo doosron k gunahon ka bojh uthaey huay aur khud apni khataaon men jakra hua hai. Aur doosra wo shaks hai jis ne jaahaalat ki baton ko (idhar udhar se) batoar lia hai. Wo ummat k jaahil afraad men dor dhoop karta hai aur fitnon ki taareekiyon men ghaafil o madhosh para rehta hai aur amn o aashti k faaidon se aankhen band kar laita hai. Chand insaani shakl o soorat se miltay jultay huay logon ne usay aalim ka laqab de rakha hai haalaankay wo aalim nahi hai. Wo aisi baton ko samaitnay k liay mun andheray nikal parta hai jin ka na hona, honay se behtar hai. Yahan tak k wo is ganday paani se sairaab ho laita hai aur be faaida baton ko jama kar laita hai to logon men qaazi ban kar baith jaata hai aur doosron par shubay men reh jaanay waalay masaail k hal karnay ka zimma le laita hai. Agar koi uljha hua masla us k saamnay paish hota hai to apni raaey se us k liay bharti ki farsooda daleelain muhayya kar laita hai aur phir us par yaqeen bhi kar laita hai. Is tarah wo shubhaat k uljhaao men phansa hua hai jis tarah makri khud apnay hi jaalay k andar. Wo khud ye nahi jaanta k us ne sahi hukm dia hai k ghalat. Agar saheeh baat bhi kahi hai to us ko ye andhesha hota hai k kaheen ghalat na ho aur ghalat jawaab ho to us ko yehi tawaqo rehti hai k k shaayad yehi sahi ho. Wo jahaalaton men bhataknay waala jaahil aur apni nazar k dhundhla pan k saath taareekiyon men bhataknay waali sawaariyon par sawaar hai. Na is ne haqeeqat e ilm ko parkha na us ki the tak puhancha. Wo riwaayaat ko is tarah darham barham karta hai jis tarah hawa sookhay huay tinkon ko. Khuda ki qasam wo in masaail k hal karnay ka ahal nahi jo is se poochay jaatay hen na is mansab k qaabil hai jo isay supurd kya gaya hai. Jis cheez ko wo nahi jaanta is cheez ko wo koi qaabil e zikr ilm hi nahi qaraar daita aur jahan tak wo puhanch sakta hai is k aagay wo samajhta hi nahi k koi doosra puhanch sakta hai aur jo baat us ki samajh men nahi aati usay pi jaata hai kyun k wo apni jahaalat ko khud jaanta hai. (na huq bahaey huay) khoon us k naarwaa faislon ki waja se cheekh rahey hen aur ghair mustahiq afraad ko puhanchi hui meeraasain chilla rahi hen. Allah se hi shikwa hai un logon ko jo jahaalat men jeetay hen aur gumraahi men mar jaatey hen. In men quran se zyada koi be qeemat cheez nahi jab k usay is tarah paish kya jaaey jaisay paish karnay ka huq hai. Aur Quran se zyada in men koi maqbool cheez nahi is waqt jab k is ki ayaton ka be mehal istemaal kya jaey. In k nazdeek naiki se zyada koi buraae aur buraae se zyada koi naiki nahi (Khutba 17 Nehjul Balagha)


Jab in men se kisi aik k samney koi maamla faislay k liay paish hota hai to wo apni raey se is ka hokum laga daitey hen. Phr wohi masla aisay hi doosrey k samney paish hota hai to wo is pehlay k hukm k khilaf hokum daita hai. Phir ye tamam qaazi apney is khalifa k paas jama hotey hen jis ne inhen qaazi bana rakha hai. Wo in sab ki raaey ko sahi qarar daita hai haalaankey in ka Allah aik Nabi aik aur kitab aik. Kya Allah ne inhen ikhtilaf ka hukum dya tha aur ye ikhtilaf kar k US ka hukum baja laatey hen ya IS ne to ikhtilaaf se yaqeenan mana kya hai aur ye ikhtilaf kar k amadan IS ki nafarmaani karna chahtey hen. Ya ye k Allah ne deen ko adhura chor dya tha aur in se takmeel k liay haath bataney ka khwahishmand hua tha ya ye k ye Allah k shareek thay k inhen IS k ahkaam men dakhal dainey ka huq ho aur IS par laazim ho k WO is par razaamand rahey ya ye k Allah ne to deen mukammal utara tha magar is k Rasul ne is k punhchaney aur adaa karney men kotaahi kI thi. Allah ne Quran men to ye farmaya hai k Hum ne kitab men kisi cheez k bayan karney men kotahi nahi ki aur is men har cheez ka waazey bayan hai aur ye bhi kaha hai k Quran k baaz hisay baaz ki tasdeeq kartey hen aur is men koi ikhtilaaf nahi. Chunaachey Allah ka ye irshaad hai k agar ye Quran Allah k ilawa kisi aur ka bheja hua hota to tum is men kaafi ikhtilaaf paatey aur ye k is ka zaahir khush numa aur baatin gehra hai. Na is k ajaaibaat mitney waaley aur na is k lataaif khatam honey waley hen. Zulmat ka parda isi se chaak kya jaata hai (Khutba No 18 Nehjul Balagha)

Saturday, 21 July 2012

Saying of Mola Ali a.s


1. Mola Ali (AS) ne farmaya : :Jo duniya chahta hai usay maut dhunti hai taake usay duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai usay duniya dhundti hai taake uski rozi oos tak pahu’ncha de.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)

2.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Char cheez Jannat ki taraf bulati hai: Musibat ko chhupana, chhupakar sadqa dena, waledain se neki, aur bahut zyada ‘La elaha Illallah’ kehna.Source : Tajalliyate Hikmat

3. Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo koi raat ko sone se pehle 3 baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe, to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege.Source : Uddatud Dai

4.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Logon ke darmiyan aise raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse.Source : Nahjul Balagah (Saying 9)

5. Mola Ali (AS) ne farmaya : Sab se bada aib ye hai k tum un baton ko doosro’n k liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Aib-1)

6. H. Ali (AS)Neend kitni buri cheez hai jo qaleel (Chhoti) umr ko kam kar deti hai aur kaseer (zyada) ajr o sawab ko khatm kar deti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Neend)

7.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jisne tabeeb (doctor) se apni bimari chhupayi, usne apne jism ke saath khayant ki. Source : Tajalliyate Hikmat (Bimari)

8.  Mola Ali (AS) ne farmaya :Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato’n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Namaz)

9.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Tumhare nafso’n ki JANNAT ke siwa koi aur qeemat nahi, lihaza is ko Jannat ke alawa kisi aur cheez ke badle me (hargiz) na becho.Source : Tajalliyate Hikmat (Jannat)

10.  Mola Ali (AS) ne farmaya : (ILAHI) mai ne teri ibadat na tere Jahannum ke khauf se ki hai aur na teri Jannat ki laalach me, balke maine tujhe ibadat ke layak paya is liye teri ibadaat ki.Source : Tajalliyate Hikmat (Ibadat)

11.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Bad’tareen takabbur / ghamand insaan ka apne rishtedaro’n aur apne hi jaise logo’n se takabbur karna.Source : Tajalliyate Hikmat (Taqabbur)

12.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo shakhs ek maaldar aadmi ke paas agar sirf uski daulat ki wajah se jaata hai aur uski izzat karta hai, to who apna do-tihaai (two-third) mazhab kho deta hai.Source : Islamic Morals (13-Greed & its harms)

13.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Ai logo’n! Jab kabhi tum kuch sikho to us par amal karo, taaki tumhe hidaayat haasil ho.Source : Islamic Morals (2- Rebuke for those..)

14.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo duniya ki khidmat karta hai duniya usay apna khadim bana leti hai & jo Allah Ta’la ki khidmat karta hai, duniya uski khadim ho jati hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)
15.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Moazzin ki (azaan ki) awaaz par (namaz ke liye) daud padne se rozi badhti hai. Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)

16. Mola Ali (AS) ne farmaya: Kisi k gunaah beparda karne me jaldi na karo kyu k wo maaf ho sakte hai, & apne 1 chhote gunaah se bhi khud ko mehfuz na samjo kyu k tumhe iski sazaa ho sakti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Gunaah)

17.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jab Allah kisi bande ko zaleel karna chaahta hai to ilm ka darwaza uske liye band kar deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)

18.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Haq se badhkar taarif karna CHAAPLUSI hai; aur haq se kam taarif karna ya to bolne ki kamzori hai ya phir HASAD (jealousy) hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Taarif)

19.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Tumhare 3 dost hai & 3 dushman. Tumhare dost matlab tumhara dost, dost ka dost, dushman ka dushman. Tumhare dushman matlab tumhara dushman, dost ka dushman, dushman ka dost.Source : Tajalliyate Hikmat (Dost)

20. Mola Ali (AS) ne farmaya : Aalim jaahil ko samajh sakta hai kyun k wo pehle kabhi jaahil tha. Jaahil aalim ko nahi samajh sakta kyun k wo pehle kabhi aalim na tha.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
21.  Mola Ali (AS) ne farmaya : FITNO’N aur BIDA’TO’N ki alaamatei’n (nishani) NA BANO balke ehle jamaat ne jo kuchh tai kiya hai OOSI KE paaband raho.Source : Tajalliyate Hikmat (Giroh, Jamaat Pg 107)

22.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Sabse badtareen dost wo hai jiske liye rasmo-riwaj (formality) nibhani padti hai.Source : Nahjul Balagah H. Ali (AS) Bila shubah, aaj amal hai hisaab nahi aur kal hisab hoga amal nahi.Source : Tajalliyate Hikmat (Amal)

23.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Amal bagair kisi riyaakari ya dikhawe ke anjaam do, kyunki jo Allah ke ilawa kisi aur ke liye amal karta hai, to Allah usay oosi ke sahare chhod deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Riyaakari) 

24.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jiski tamannaei’n zyada hogi, uska amal kharab ho jaayega.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 22)

25.  Mola Ali (AS) ne farmaya :Jis se tum ne apni haajat bayaan kar di, uske saamne tum be-izzat ho gaye. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 53)

26.Mola Ali (AS) ne farmaya:Aye gunah par gunah kiye jaane wale! Tera baap (Janabe Adam) sirf ek gunah ki wajah se jannat se nikal diya gaya tha. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 88)

27. Mola Ali (AS) ne farmaya: Usay apna koi raaz na batao jiska koi raaz tumhare paas na ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 104)

28. Mola Ali (AS) ne farmaya: Aey Logo mughy tumhary bary main sabse ziada 2 baton ka dar hy. Ek Khwahishon ki pervi aur doosrey ummeedon ka phailao. Khowaheshon ki pervi vo chez hai jo haq se rok deti hai Aur ummeedon ka phelao aakhrat ko bhula deta hai. Nehjlblaga p#175

29. Mola Ali (AS) ne farmaya : Sabse badaa gunaah wo hai jiska karnewala oose chhota samjhe.Source : Greater Sins III

30.Mola Ali (AS) ne farmaya:Jiska raabita khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota,Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon