Aqwal e HAzrat Ali a.s
Saying of Imam Ali a.s from Nehjul Balagha
- Hazrat Ali AS ne farmaya: (Aey Logo socho) Ye Insaan (ki khilqat) hairat angaiz hai k wo charbi se daikhta hai, gosht k lothar’ay se bolta hai, haddi se sun’nta hai aur soraakh se saans laita hai (Hikmat No 7 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jab dunya kissi par meharbaan hoti hai to doosray ki khoobyaa’n bhi riaayatan ussay de daiti hai aur jab ussay chorti hai to khud uss ki khoobyaa’n bhi uss se cheen laity hai (Hikmat No 8 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Logo’n se iss tarah milo k agar mar jaao to tum par roe’n aur agar zinda raho to tumhaaray mushtaaq ho’n (Hikmat No 9 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Dushman par qaaboo paao to iss qaaboo paanay ka shukraana, iss ko maaf kar daina qaraar do (Hikmat No 10 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Bad qismat woh hai jo apni umar men kuch mukhlis dost na bana sakay aur iss se bhi zyaada bad qismat wo hai jo paa kar inhain kho de (Hikmat No 11 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jab tumhain thori buhat naematai’n haasil ho’n, to naa shukri se inhain apnay tak puhanchnay se pahlay na bhagaao (Hikmat No 12 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jissay apnay chor daitay hen ussay paraaey mil jaatay he’n (Hikmat No 13 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Har fitnay men par jaanay waala qaabil e ataab nahi hota (Hikmat No 14 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo shaks khwaahisho’n k peechay deewaano’n ki taraah bhaagta hai,wo moat se thokar khaata hai (Hikmat No 18 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Fayyaz logo’n ki ghaltiyo’n ko maaf kar do kyu’n k unn men jo ghalti ki waja se girta hai, to Allah, haath de kar ussay upar uthaa laita hai (Hikmat No 19 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jissay, uss k aamaal peechay hata de’n, ussay zaat ya nasal aagay nahi bar’ha saktay (Hikmat No 22 Nehjul Balagha).
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Kissi paraishaan ki faryaad sun’na aur museebat zada ko museebat se chutkaara dilaana, baray baray gunaaho’n ka kafaara hai (Hikmat No 23 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Insaan, agar tum daikho k Allah tumhain aik k baad aik naemat se nawaaz raha hai aur tum Uss ki naafarmaani kar rahay ho to Uss se dartay rahna (Hikmat No 24 Nehjul Balagha
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Aksar, dil men chupi baat, zabaan se niklay huay be saakhta alfaaz aur chahray k aasaar se numaayaa’n ho jaati hai (Hikmat No 25 Nehjul Balagha
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Marz me’n jab tak himmat saath de, chaltay phirtay raho(himmat se kaam lo) {Hikmat No 26 Nehjul Balagha
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Behtareen Taqwaa, taqway ka chupa kar rakhna hai (riyaakari se bachna hai) {Hikmat No 27 Nehjul Balagha
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Agar tum ne dunya se jaana hi hai aur moat se mulaaqaat karni hi hai to phir mulaaqaat me’n dair ki khuwaahish kyoo’n (Hikmat No 28 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda se daro k Allah ki qasam, Uss ne iss had tak tumhaaray gunaaho’n ki parda poshi ki hai k goyaa tumhai’n baksh hi dia ho (Hikmat No 29 Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jissay moat ka intezaar hoga, wo naik kaamo’n men jaldi karaiga (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne ghor o fikar kiya, wo ilm ki gahraai tak puhancha, aur jo ilm ki gahraai me’n utra, wo faislay k sarchashmo’n se sairaab ho kar palta (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jihaad ki 4 shaakhai’n hen, Amar bil maaroof, Nahi anil mukir, tamaam moqo’n par sach bolna aur bad kirdaaro’n se nafrat (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne Amar bil maaroof kia, uss ne momino’n ki pusht mazboot ki, jiss ne Nahi anil munkir kia, uss ne kaafiro’n ko zaleel kia aur jiss ne tamam moqo’n par sach bola, uss ne apna farz adaa kar dia (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha)
- Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne faasiqo’n ko bura samjha aur Allah k liay unn par ghazabnaak hua, Allah bhi unn k liay doosro’n par ghazabnaak hua aur qayaamat k din uss ki khushi ka saamaan karay ga (Hikmat No 30 ka kuch hisa, Nehjul Balagha)
visit my site for sayings of AhlulBayt AS
ReplyDeletehttp://khairilamal.blogspot.com
visit my page Farman-e-Malo Ali as
ReplyDeletehttps://www.facebook.com/Farman-e-Mola-Ali-as-144881222542078/
fish kis month me Ande Bacche deti hai???
ReplyDeleteماشائ اللہ
ReplyDeleteNice post..
ReplyDeleteহযরত আলী