Extracts From Nehjul Balagha in Urdu
Allah ne Muhammad S.AW.W ko tamaam jahaanon ko (in ki bad aamaaliyon se) daraanay waala aur apni wahi ka amen bana kar bheja. Aey garoh e Arab us waqt tum bad tareen deen par aur bad tareen gharon men thay. Khurdaray patharon aur zehreelay saanpon men tum boodo baash rakhtay thay. Tum ganda paani peetay aur jhoota khatay thay (yahan muraad haraam khatay thay). Aik doosray ka khoon bahaatay aur rishtay daari khatam kia kartay thay. Butt tumharay darmayan garay huay thay aur gunaah tum se chimtay huay thay. (Khutba 26 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya: Jihaad jannat k darwaazon men se aik darwaza hai jissay Allah ne apnay khaas doston k liay khola hai. Ye parhaizgaari ka libaas, Allah ki muhkam ziraah aur mazboot dhaal hai. Jo iss se pehlu bachaatay huay issay chor daita hai Khuda Ussay Zillat o Khuwaari ka libaas pehna aur museebat o ibtilaa ki rida ur’ha daita hai aur zillat o khuwaariyon k saath thukraya jaata hai aur madhoshi aur ghaflat ka parda is k dil par chaa jaata hai. (Khutba 27 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne apnay buzdil Shiyon se farmaya: Main ne is qoam (munkireen e haq) se larnay k liay raat bhi aur din bhi Ailaaniya bhi aur posheeda bhi tumhain pukaara aur lalkaara aur tum se kaha k is se pehlay k wo jang k liay barhain, tum inn par dhaawa bol do. Khuda ki qasam jin afraad o qoam par in k gharon k hadood men hamla ho jaata hai wo zaleel o khuwaar hotay hen. Lekin tum ne Jihaad doosron par taal dia aur aik doosray ki madad se pehloo bachanay lagay yahaa’n t ak k tum par ghaarat garyaan hueen (Khutba 27 Nehjul Balagha)
Ammer al Momineen AS ne apnay buzdil Shiyon se farmaya: Ajab hai Khuda ki qasam in logon ka baatil par mutahid hona aur tumhari jamiyat ka huq se muntashir hojana dil ko murda kar daita hai aur gham ko barha daita hai. Tumhara bura ho tum gham men mubtala ho, tum to teeron ko az khud nishana banay huay ho. Tumhaen halaak o taaraaj kia ja raha hai magar tumharay qadam hamlay k liay nahi uthtay. Wo tum se lar bhir rahay hen aur tum jang se dil churatay ho. Allah ki nafarmaaniyaan ho rahi hen aur tum raazi bethay ho (Khutba 27 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne apnay buzdil shiyon se farmaya: Jab tum sardi aur garmi se iss tarah bhagtay ho to phir khuda ki qasam Talwaaron ko dekh kar uss se kahee’n zyada bhago gay. Aey mardon ki shakal walay naa mardo tumhari aqlain bachon ki si aur tumhari samajh hujla nasheen auraton ki maanind hai. Mein to yehi chahta tha k na tum ko dekhta na tum se jaan pahchaan hoti. Aisi shanasaai jo nidamat ka sabab aur gham ka baaes bani hai. Allah tumhain maaray tum ne meray dil ko peep se bhar diya aur meray seenay ko ghaiz o ghazab se chalka dia (Khutba 27 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne apnay na samajh saathiyon se farmaya: Tum ne nafarmaani kar k meri tadbeer o raaey ko tabaah kar dia. Yahan tak k quraish kehnay lagay k Ali hai to mard e shujaa lekin jang k tor tareekay se waaqif nahi. Allaah unn ka bhala karay kya unn men se koi hai jo mujh se zyada jang ki samajh rakhnay waala ho aur maidaan o ghaa men meray pehlay se kaar e numaayaa’n kiay huay hen. Mein to abhi 20 baras ka bhi nahi hua tha k harb o zarb k liay uth khara hua aur ab to 60 se bhi ooper ka ho gaya hoon lekin uss ki raaey hi kya jis ki baat na maani jaaey (Khutba 27 Nehjul Balagha)
No comments:
Post a Comment