Sunday, 22 September 2013

Saying of Imam Ali a.s From Nehjul Balagha

Extracts From Nehjul Balagha


Hazrat Ali AS ne farmaya: Dunya ne peeth phair kar apnay ruksat honay ka aelaan aur manzil e uqbaa ne saamnay aa kar apni aamad se aagaah kar dia hai. Aaj ka din tayyari ka aur kal dor’ ka hoga. Jis taraf aagay bar’hna hai wo to jannat hai. Aur jahan kuch loge puhanch jaaengay wo dozakh hai. Kya moat se pahlay apnay gunahon se tauba karnay wala koi nahi aur kya iss roz e museebat k aanay se pehlaynamal karnay waala aik bhi nahi. (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: . Tum umeedon k doar men ho jiss k peechay moat ka hangaama hai. Jis tarah iss waqt jab naagawaar haalaat ka andaisha ho naik aamaal men munhamik hotay ho waisa hi uss waqt bhi naik aamaal karo jab k mustaqbil k aasaar mussarat afza mehsoos ho rahay hon (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo huq se faaeda nahi uthaata ussay baatil ka nuqsaan o zarar uthaana paraiga. Jis ko hidayat saabit qadam na rakhay ussay gumraahi halaakat ki taraf khainch lay jaaegi. Tumhaeen kooch ka hukm mil chukka hai aur safar k saamaan ka pata dia ja chukka hai . (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne faramaya: Mujhay tumharay muta’aliq sab se zyada do hi cheezon ka khatra hai. Aik khuwahishon ki pairvi aur doosra umeedon ka phailaao. Iss dunya men rehtay huay iss se itna saamaan le lo jiss se kal apnay nafson ko bacha sako (Khutba 28 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Tumhari batain to sakht patharon ko bhi naram kar daiti hen aur tumhara amal aisa hai k jo dushmanon ko tum par daant taiz karnay ka moka daita hai. Apni mehfilon men to tum kehto ho k ye kar daingay aur wo kar daingay aur jab jang chir’h hi jaati hai to tum iss se panaah maangtay ho. Jo tum ko madad k liay pukaaray uss ki sada be wuq’at aur jiss ka tum jaisay logon se waasta para ho uss ka dil hamaisha be chain rehta hai (Khutba 29 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Zaleel aadmi zillat aamaiz zyaadatiyon ki rok thaam nahi kar sakta aur haq to baghair koshish k nahi mila karta. Iss ghar k baad aur kon sa ghar hai jis ki hifazat karaogay(Khutba 29 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda ki qasam meri kaifiyat to ye hai k na mein tumhari kisi baat ki tasdeeq kar sakta hoon aur na tumhari nusrat ki mujhay koi aas baaqi rahi hai aur na tumhari waja se dushman ko jang ki dhamki de sakta hoon. Tumhain kya hogaya, tumhara marz kya hai aur iss ka ilaaj kya hai. Uss qoam k afraad bhi to tumhari shakl o soorat k mard hen. Kya baatain hi baatain rahain gi. Jaanay boojhay baghair aur sirf ghaflat o madhoshi hai (Khutba 29 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Logo hum ik aesay kaj raftaar zamanay aur nashukar guzaar dunya men paida huay hen k jis men naik o kaar ko khataa kaar samjha jaata hai aur zaalim apni sarkashi men barhta hi jaata hai. Jin cheezon ko hum jaantay hen unn se faaeda nahi uthaatay aur jin cheezon ko nahi jaantay unhain daryaaft nahi kartay aur jab tak museebat nahi aati hum khatra mehsoos nahi kartay. (Khutba 32 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Kuch Loge Wo hen jo Aelaaniya shar phela rahay hen aur unhon ne apnay sawaar aur pyaaday jama kar rakhay hen. Sirf kuch maal batornay ya kisi dastay ki qayaadat kartay ya minbar par buland honay k liay unhon ne apnay nafson ko waqf kar dia hai aur deen ko tabaah o barbaad kar daala hai. Kitna hi bura hai k tum dunya ko apnay nafs ki qeemat aur Allah k haan k neamaton ka badal qaraar de lo aur kuch wo loge hen jo aakhirat waalay kaamon se dunya talbi kartay hen(Khutba 32 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Kuch Logon ne qanaat k naam apnay aap ko aaraasta kar rakha hai aur zaahidon k libaas se apnay aap ko saja lia hai. Haalaankay unhain in cheezon se kisi waqt bhi koi lagaao nahi raha. Iss k baad thoray se wo loge reh gaey hen jin ki aankhain aakhirat ki yaad aur hasher k khof se jhuki hui hen aur unn se aansoo rawaan rehtay hen. Unn men se kuch to wo hen jo dunya waalon se alag thalag tanhaai men paray hen aur kuch khof o hiraas k aalam men zillatain sah rahay hen (Khutba 32 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne apnay jootay ki taraf ishara krtay huay farmaya: Agar meray paish e nazar haq ka qayaam aur baatil ka mitaana na ho to tum logon par hakoomat karnay se ye joota mujhay kaheen zyaada azeez hai (Khutba 33 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Tumharay Khilaaf sab tadbeerain hoti hen aur tum dushmanon k khilaaf koi tadbeer nahi kartay.Tumharay hadood kam hotay ja rahay hen magar tumhain ghussa nahi aata. Wo tumhari taraf se kabhi ghaafil nahi hotay aur tum ho k ghaflat men sab kuch bhoolay huay ho. Khuda ki qasam aik doosray par taalnay waalay haara hi kartay hen. Agar jang zor pakar lay aur moat ki garam baazaari ho to tum Ali Ibn e Abi Talib se iss tarah kat jaaogay jis tarah badan se sar (Khutba 34 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mera tum par ye haq hai k bayyat ki zimadaari poori karo aur saamnay aur pas e pusht khair khuwaahi karo (Khutba 34 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mehrbaan, baa jabar aur tajarba kaar naseehat karnay waalay ki mukhaalifat ka samar hasrat o nidaamat hota hai (Khutba 35 Nehjul Balagha)

No comments:

Post a Comment