Sunday, 22 September 2013

Saying of Hazrat Ali

Extracts of Nehjul Belagha


Hazrat Ali AS ne farmaya: Mein ne uss waqt apnay faraiz saranjaam diay jab k aur sab is raah men qadam barhaanay ki jurrat na rakhtay thay aur uss waqt sar utha kar saamnay aaya jab k doosray gosho’n men chupay huay thay aur uss waqt zaban kholi jab k doosray goongay nazar aatay thay aur uss waqt noor e Khuda ki roshni men aagay barha jab k doosray zameen geer ho chukay thay k meri awaaz in sab se dheemi thi magar sabqat o paish qadmi men, mein sab se aagay tha(Khutba 37 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: daba hua (kamzor) meri nazron men taqatwar hai jab tak mein uss ka haq na dilwaa doon aur taaqatwar meri nazar mein kamzor hai jab tak mein Uss se doosray ka huq na dilwa doon (Khutba 37 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo dostaan e Khuda hotay hen, unn k liay shub’haat men yaqeen, ujaalay ka aur hidyat ki taraf rahnuma ka kaam daita hai aur jo dushmanaan e Khuda hen wo inn shub’haat men gumraahi ki daawat o tableegh kartay hen (Khutba 38 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: hamara zamana aisa hai jiss men aksar logon ne gha’daari aur faraib ko aql o faham samajh liya hai aur jaahilon ne inn ki (chaalon) ko husn e tadbeer se mansoob kar diya hai (Khutba 40 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Logo Mujhay tumharay baaray men sab se zyaada do baaton ka dar hai. Aik khwaahishon ki pairvi aur doosray umeedon ka phailaao(Khutba 42 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Khwaahishon ki pairvi wo cheez hai hai jo haq se rok daiti hai aur umeedon ka phailaao aakhirat ko bhula daita hai (Khutba 42 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: dunya aur aakhirat waalay, donon khaas aadmi hotay hen to tum farzanad e aakhirat bano aur dunya k baitay na bano is liay k har baita roz e qayamat apni maan se munsalik hoga. Aaj amal ka din hai aur hisaab nahi hai aur kal hisaab ka din hoga, amal na ho sakay ga(Khutba 42 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: (Mujh se pahlay) iss ummmat par aik aisa hukmaraan tha, jiss ne deen men bidda’tain phailaaee’n aur logon ko taanay dainay ka moqa diya. (pahlay to) logon ne ussay zabaani kaha suna, phir uss par bigr’ay aur aakhir saara saancha badal diya (Khutba 43 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Dunya aik aisa ghar hai jiss k liay fana tay shuda amar hai aur iss men basnay waalon k liay yahan se har soorat nikalna hai. Ye dunya sheereen aur shaadaab hai. Apnay chaahnay waalon ki taraf taizi se barhti hai aur dekhnay waalay k dil men sama jaati hai. jo tumharay paas bahtar se bahtar (aakhirat k ) safar ka saamaan ho sakay ussay le kar dunya se chal dainay k liay tayyar ho jaao. Is dunya men apni zaroorat se zyada na chaaho aur jiss se zindagi basar ho sakay, iss se zyada ki khwaahish na karo (Khutba 45 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: aey Allah Mein safar ki mushaqqat aur waapsi k gham aur ahl o maal ki bad haali se panaah maangta hoon. Aey Allah Tu hi safar ka saathi aur baal bachon ka muhafiz hai. Aik hi waqt men safar ka saathi aur ghar ka muhafiz Teray ilaawa koi nahi ho sakta kyun k jissay peechay chora jaaey wo saathi nahi ho sakta aur jissay saath liya jaaey ussay peechay nahi chora ja sakta (Khutba 46 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Tamam Hamd Uss Allah k liay hai jo chupi hui cheezon ki gahraai men utra hua hai. Is k zaahir aur ghaayib honay ki nishaaniyaan Iss k wajood ka pata daiti hen. Go dekhnay waali aankh se wo nazar nahi aata phir bhi na dekhnay waali aankh iss ka inkaar nahi kar sakti aur jiss ne Iss ka iqraar kiya iss ka dil iss ki haqeeqat ko nahi paa sakta (Khutba 49 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Woh (Allah) itna buland o bar tar hai k koi cheez Iss se buland tar nahi ho sakti aur itna qareeb se qareeb tar hai koi shay iss se qareeb tar nahi hai aur na Uss ki bulandi ne Ussay makhlooq se door kar diya hai aur na Uss k qurb ne Ussay doosron ki sataah par laa kar unn k barabar kar dia hai. Uss ne aqlon ko unn ki aakhri hadon se aagaah nahi kiya aur zaroori miqdaar men maarifat haasil karnay k liay unn k aagay parday bhi haayil nahi kiay (Khutba 49 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Wo (Allah) zaat aisi hai k Jiss k wajood k nishaanaat iss tarah iss ki gawaahi daitay hen k (zaban se) inkaar karnay waalay ka dil bhi iqraar kiay baghair nahi reh sakta. Allah unn logon ki baaton se buhat buland o bartar hai jo makhlooqaat se Uss ki tashbeeh daitay hen aur Uss k wajood ka inkaar kartay hen (Khutba 49 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Fitnon k honay ka aaghaaz wo nafsaani khwaahishain hoti hen jin ki pairvi ki jaati hai aur wo naey ijaad kiay huay ahkaam jinn men Quran k ahkaam ki mukhalifat ki jaati hai aur jinhain farogh dainay k liay kuch loge deen e ILLAHI k khilaaf baaham aik doosray k madagaar ho jaatay hen. agar baatil, huq ki milaawat se khaali hota to wo dhoondnay waalon se chupa na rehta leken hota yeh hai k kuch idhar se lia jaata hai aur kuch udhar se aur donon ko aapas men ghalat malat kar dia jaata hai. Is moqay par shaitaan apnay doston par chaa jaata hai aur sirf wohi loge bachay rehtay hen jinn k liay tofeeq e ILLAHI aur inayat e Khudawandi pahlay se mojood ho (Khutba 50 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne apnay shiyon se farmaya: Tumhara unn (dushmanaan e Ali AS) se dab jaana jeetay g moat hai aur ghalib aa kar marna bhi jeenay k barabar hai (Khutba 51 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda k bando iss dunya se jiss k rahnay waalon k liay zawaal laazmi hai, se nikalnay ka iraada karo. Kaheen aisa na ho k aarzooen tum par ghaalib aa jaaen aur is (chand roze ki zindagi) ki muddat ko lamba samajh baitho (Khutba 51 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Agar tum dunya k khatam honay tak jeo, to bhi tumharay aamaal chaahay tum ne koi kasar na chori ho Uss (Khuda) ki naimaat e azeem ki bakshish aur imaan ki taraf rahnumaai ka badla nahi utaar saktay(Khutba 52 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda ki Qasam Mujhay zara barabar bhi parwaah nahi k Mein moat ki taraf barhoon ya moat meri taraf barhay (Khutba 55 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mujh se (dil se) baizaari ikhtiyaar na karna k Mein deen e fitrat par paida hua hoon aur imaan o hijrat men pahla hoon (Khutba 57 Nehjul Balagha) www.yaali.co.cc [All In One Shia Site]
Hazrat Ali AS ko jab moat se daraya gaya to unhon ne farmaya: Mujh par Allah ki aik muhkam dhaal hai. Jab moat ka din aaey ga to Wo mujhay moat k hawaalay kar k mujh se alag ho jaaey ga. Uss waqt na teer ghalti karay ga aur na zakham bhar sakay ga (Khutba 60 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Dunya aik aisa ghar hai jiss (ki buraaiyon) se bachaao issi men rah kar kiya ja sakta hai aur kissi aisay kaam se jo sirf dunya ki khaatir kiya jaaey nijaat nahi mil sakti. Logon ne iss dunya se jo dunya k liay haasil kiya hoga, uss se alag kar diay jaaen gay aur uss par unn se hisaab lia jaaey ga. Aur jo iss dunya se aakhirat k liay kamaya hoga ussay aagay puhanch kar paa lain gay aur ussi men rahain gay (Khutba 61 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya: Dunya Aqal mandon k nazdeek aik barhta hua saaya hai jissay (wo) abhi barha hua aur phaila hua dekh rahay thay k dekhtay hi dekhtay wo ghut kar simat kar rah gaya (Khutba 61 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Allah k bando, Allah se daro aur moat se pahlay apnay aamaal ka zakheera faraham kar lo aur dunya ki khatam honay waali cheezain de kar (aakhirat ki) baaqi rah jaanay waali cheezain khareed lo. Chalnay ka saamaan karo kyun k tumhain taizi se le jaaya ja raha hai aur moat k liay tayyar ho jaao k wo tumharay saron par mandla rahi hai.(Khutba 62 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Allah ne tumhain baikaar paida nahi kiya aur na tumhain bilkul hi aazaad chor diya. Moat tumharay raasatay men haayal hai aur uss k aatay hi tumharay liay jannat hai ya dozakh hai. Wo zindagi ka waqt jissay har guzarnay waala lamha kam kar raha ho aur uss ki imaarat gir rahi ho, kam hi samjhay jaanay k laaiq hai aur wo musaafir jissy har naya din aur har nai raat khainch rahay hon, uss ka manzil tak puhanchna jald hi samjhna chaahiyay.aur wo musafir jiss k saamnay hamaisha hamaisha ki kaamyaabi ya naakaami ka sawaal ho, ussay achay se acha hi safar ka samaan karna chaahiye (Khutba 62 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Iss dunya men rahtay huay, iss se itna aakhirat ka saamaan le lo jis k zariyay kal apnay nafson ko bacha sako. Iss ka tareeka ye hai k banda apnay Allah se daray, apnay nafs k saath khair khwaahi karay, tauba karay, apni khwaahishon par qaaboo rakhay kyun k moat iss ki nigaahon se ojhal hai aur umeedain faraib dainay waali hen aur shaitaan uss par chaaya hua hai jo gunaahon ko saja kar uss k saamnay le aata hai (Khutba 62 Nehjul Balagha)

1 comment: