Hazrat Ali AS ne farmaya: Wo Hamaray paas mojud tha balkay hamaray is lashkar men wo ashkhaas bhi mojud thay jo abhi mardon ki salb aur auraton k shikam men hen. Anqareeb zamana inhen zaahir karey ga aur in se imaan ko taqweet puhanchay gi (Khutba no 12 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya: Aik haq hota hai aur aik baatil aur kuch haq waalay hotay hen kuch baatil waalay. Ab agar baatil zyaada ho gaya to y pehlay bhi buhat hota raha hai aur agar haq kam ho gaya to buhat dafa aisa hua hai aur buhat mumkin hai k wo is k baad baatil par chaa jaey. Agarcha aisa kam hi hota hai k koi cheez peechay hat kar aagey barhay(Khutba No 16 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya: Jis k paish e nazar dozakh o jannat ho is ki nazar kisi aur taraf nahi uth sakti. Jo taiz qadam dornay waala hai wo nijaat yaafta hai. Jo talabgaar ho magar sust raftaar usay bhi tawaqo ho sakti hai magar jo (jaan boojh k) kotaahi karnay waala ho usay to dozakh hi men girna hai. Daaen baaen gumraahi ki raahen hen aur darmiyaani raasta hi siraat e mustaqeem hai. Is raastey par Allah ki hamesha rehnay waali kitab aur Nabuwwat k aasaar hen. Issi se shariyat ka nifaaz o ijraa hua aur isi ki taraf aakhir e kaar baaz gasht hai. (Khutba no 16 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo haq k muqablay men khara hota hai wo tabaah ho jaata hai aur insaan ki jahaalat is se barh kar kya hogi k wo apni qadr o manzilat ko na pehchaanay. Wo asal o asaas jo taqwa par ho barbaad nahi hoti aur us k hotay huay kisi qoam ki kisht (amal) be aab o khushk nahi rehti. (Khutba n0 16 Nehjul Balagha)
No comments:
Post a Comment