Sunday 22 September 2013

Nehjul Balagha Khutba 1

Extracts From Nahjul Balagha in Urdu 1.



Hazrat Ali AS: Tamam hamd Us Allah k liay hai jis ki madah tk bolnay walon ki rasaai nhi. Jis ki naimaton ko ginnay walay gin nhi sktay. Na koshish krnay walay Us ka huq ada kr sktay hen. Na buland parwaaz himmaten Usay paa skti hen. Na aql o fehm ki gehraeeyaan Us ki teh tk puhanch sakti hen. Us ki zaat ki koi had muayyan nahi. Na Us k liay toseefi alfaaz hen na Us ki ibtedaa k liay koi waqt hai jisay shumar men laaya jaa sakay, (Khutba 1 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya:. Allah ki koi muddat nahi hai jo kaheen par khatam ho jaey .Khuda ne makhlooqaat ko apni Qudrat se paida kya, apni rehmat se hawaaon ko chalaya, thartharati hui zameen par paharon ki maikhen (keelain) gaareen. Deen ki ibteda Us ki maarfat hai, kamala e maarfat Us ki tasdeeq hai, Kamaal e tasdeeq Toheed hai. ( Khutba No 1 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Jis ne ye kaha k Khuda kisi cheez men hai us ne Usay kisi shay k zaman men farz kar lya, jis ne ye kaha k wo kisi cheez par hai us ne aur jaghen Us se khaali samajh leen. Wo hai, hua nahi hai, mojud hai magar adam se wajud men nahi aaya. Wo har shay k saath hai na jismaani itesaal ki tarah, Wo har cheez se alehda hai na jismaani doori k tor par. Wo faael hai leken harkaat o aalaat ka muhtaaj nahi. (Khutba No 1 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya :Wo is waqt bhi dekhnay waala tha jab k makhlooqaat men koi cheez dikhaae dainay waali na thi. Wo yagaana hai is liay k Us ka koi saathi hi nahi hai k jis se Wo maanoos ho aur us ko kho kar wo pareshaan ho jaey. Is ne pehlay pehal khalq ko ijaad kya baghair kisi fikr ki joolaani k aur baghair kisi tajarbay k jis se faaida uthanay ki Usay zaroorat pari ho aur baghair kisi harkat k jis ne Usay paida kya ho aur baghair kisi walwala o josh k jis se Wo baitaab hua ho. (Khutba No 1 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya : (Khuda ne kaainaat banaaty waqt) Har cheez ko us k waqt k hawalay kya. Be jor cheezon men tawazun aur hum aahangi paida ki. Har cheez ko judaagaana tabiyat aur mizaaj ka haamil banaya aur tabiyat k liay munasib sooraten zaroori qarar deen. Wo in cheeezon ko in k wajood men aanay se pehlay jaanta tha. In ki hadood e nihayat par ahaata kiay huay tha aur in k nafoos o aazaa ko pehchaanta tha. (Khutba No 1 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Paighamber S.A.W.W ne tumharay Parwardigaar ki kitab tum men chori hai. Is haalat men k unhon ne kitab k halal o haraam,waajibaat o mustaahibaat,naasikh o mansookh, rikhs o azaaaim,khaas o aam, ibr o imsaal,muqeed o mutlaq, muhkam o mustashabeh ko waazey tor par bayaan kar dya hai. Mujmil ayaton ki tafseer kar di hai (aur) us ki guthiyon ko suljha diya hai.(Khutba No 1 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Us (Khuda) ne apni makhlooq men se sun’nay waalay loge chun liay jinhon ne Us ki awaaz par Labaik kahi aur Us k kalaam ki tasdeeq ki wo anbiya ki jaghon par tehray (aur) arsh par tawaaf karnay waalay farishton se shabaahat ikhtiyaar ki.(Khutba No 1 Nehjul Balagha)

12 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
    Replies
    1. salaam.... YA Ali a.s madad
      .. aap log se ek req hai can u Help me
      aap k paas lyrics with video (Nehjul Balagha Khutba 1 se Khutba 128 mil sakta hai aap k paas
      plz its urgnt to me
      plz reply

      Delete
    2. Go to shiamultimedia.com wahan nehjul balagha ke folder main jana ap ko audio main Mola ke khutbe aur farman mile ge download kr lejiye ga

      Delete
  2. subhanallah SALAM HO MERA MOLA IMAM (ALIA.S) pr or ALLAH pr js ki tareef ahlebait ka gharne k ilwah koi ni krskta

    ReplyDelete
  3. subhanallah SALAM HO MERA MOLA IMAM (ALIA.S) pr or ALLAH pr js ki tareef ahlebait ka gharne k ilwah koi ni krskta

    ReplyDelete
  4. Subhan Allah, Mere Maula A.S ki baat he alag hai

    ReplyDelete
  5. Yr nahjulblaga urdu mn link send kr skte ho

    ReplyDelete