Sunday 22 September 2013

Imam Ali a.s Saying in urdu 

Hazrat Ali AS ne farmaya: Tamam Hamd Uss Allah k liay hai jiss ki aik siffat se doosri siffat afzal nahi k Woh aakhir honay se pahlay awwal aur zaahir honay se pahlay baatin raha ho. Allah k ilaawa jissay bhi aik kaha jaaey ga, wo qillat aur kami men hoga. Iss k siwa har baa-izzat zaleel, har taaqatwar kamzore, har maalik ghulaam aur har jaan’nay waala seekhnay ki manzil men hai (Khutba 63 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Uss (Allah) k ilaawa har qudrat o ikhtiyaar rakhnay waala kabhi qaadir hota hai aur kabhi aajiz aur Uss (Allah) k ilaawa har sun’nay waala khafeef aawaazon ko sun’nay se qaasir hota hai aur bari aawaazain apni goonj se ussay bahraa kar daiti hen aur door ki aawaazain uss tak puhanchti nahi hen aur Uss (Allah) k siwa har daikhnay waala chupay huay rangon aur lateef jimson ko daikhnay se naa beena hota hai. (Khutba 63 Nehjul Balagha) 


Hazrat Ali AS ne farmaya: Koi Zaahir Uss (Allah) k siwa baatin nahi ho sakta aur koi baatin Uss k siwa zaahir nahi ho sakta.Uss ne apni kissi makhlooq ko iss liay paida nahi kya k Who apni hakoomat ki bunyaadon ko mazboot karay ya zamaanay k halaat aur nataaij se Ussay koi khatra tha ya kasrat par utar aanay waalay shareek ya bulandi men takraanay waalay mad e muqaabil k khilaaf Ussay koi madad haasil karna thi balkay ye saari makhlooq Uss k qabzay men hai aur sab Uss k aajiz o kamzor banday hen (Khutba 63 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Siffeen men apnay ashaab se farmaya: Aey musalmaano Khof e Khuda apnaao. Itmenaan o waqaar ki chaadar orh lo aur apnay daanton ko bheench lo, iss se talwaarain saron se uchat jaaya karti hen. (Khutba 64 Nehjul Balagha)


Siffeen men Hazrat Ali AS ne apnay ashaab se farmaya: Ziraah mukammal karo aur talwaaron ko khainchnay se pahlay niyaam men achi tarah hila jula lo aur dushman ko tirchi nazron se daikhtay raho aur daaen baaen naizon k waar karo aur dushman ko talwaaron ki baar par rakh lo aur talwaaron k saath saath qadamon ko aagay barhaao aur yaqeen rakho k tum Allah k saamnay aur Rasul k chacha zaad bhai k saath kharay ho (Khutba 64 Nehjul Balagha) 


Siffeen men Hazrat Ali AS ne apnay ashaab se farmaya: Baar baar hamla karo aur bhaagnay se sharam karo iss liay k ye naslon tak k liay sharmindagi aur roz e mahshar jahannum ki aag ka baaes hai. (Khutba 64 Nehjul Balagha) 


Siffeen men Hazrat Ali AS ne apnay ashaab se farmaya: Khushi se apni jaanain Allah ko de do aur itmenaan se moat ki jaanib chalo aur (shaamiyon ki) iss bari jamaat aur tanaabon se khinchay huay khaimay ko paish e nazar rakho. Iss k darmayaan hamla karo kyun k shaitaan ussi k aik goshay men chupaa baitha hai. Jiss ne aik taraf to hamlay k liay haath barhaya hua hai aur doosri taraf bhaagnay k liay qadam peechay hata rakha hai. (Khutba 64 Nehjul Balagha) 


Siffeen men Hazrat Ali AS ne apnay ashaab se farmaya: Tum mazbooti se apnay iraaday par jamay raho yahan tak k haq ujaalay ki tarah zaahir ho jaaey. Tum hi ghaalib ho aur Khuda tumharay saath hai. Wo tumharay aamaal ko zaayaa aur barbaad nahi honay daiga (Khutba 64 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne apnay buzdil shiyon se farmaya: Kab tak Mein tumharay saath aisi narmi aur ria’aayat karta rahoon ga jaisi aisay oonton se ki jaati hai jinn ki kohaanain andar se khokli ho chuki hon aur unn phatay puraanay kapron se k jinhain aik taraf se siya jaaey to doosri taraf se phat jaatay hen. Jab bhi shaamiyon k daston men sey koi dasta tum par mandlaata hai to tum sab k sab apnay gharon k darwaazay band kar laitay ho aur iss tarah andar dubak jaatay ho jiss tarah go apnay sooraakh men aur bichoo apnay bhat men. Jiss k tumhaaray jaisay madad gaar hon Uss ne to zaleel hi hona hai (Khutba 67 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne apnay buzdil shiyon se farmaya: Khuda ki qasam gharon k sahan men to tum bari taadaad men nazar aatay ho lekin jhandon k neechay thoray se. Mein achi tarah se jaanta hoon k kiss cheez se tumhari islaah aur kiss cheez se tumhaari be gaanagi ko door kya jaa sakta hai lekin Mein apnay nafs ko bigaar’ kar tumhari islaah karna nahi chaahta. Khuda tumharay chahron ko be aabroo karay aur tumhain bad naseeb karay. Jaisi tum baatil se shanasaai rakhtay ho waisi haq se tumhaari jaan pahchaan nahi aur jitna haq ko mitaatay ho baatil utna tum se nahi dabaya jaata (Khutba 67 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Allah! Aey farsh e zameen k bichaanay waalay aur buland aasmaanon ko baghair sahaaray k roknay waalay, dilon ko achi aur buri fitrat par paida karnay waalay Apni paakeeza rahmatain aur barkatain qaraar day apnay banday aur Rasool Muhammad S.A.W.W k liay jo pahli nabuwwaton ko khatam karnay waalay aur band dilon k kholnay waalay aur haq k zore se aelaan e haq karnay waalay, baatil ki tughyaaniyon ko dabaanay waalay aur zalaalat k hamlon ko kuchalnay waalay thay (Khutba 70 Nehjul Balagha) 


Hazrat Ali AS ne farmaya: Jaisa Rasool S.A.W.W par zimadaariyon ka bojh aaed kya gaya tha, uss ko unhon ne uthaaya aur Allah ki khusnoodiyon ki taraf barhnay k liay mazbooti se jam kar kharay ho gaey. Na aagay barhnay se moo’n mor’a, na iraaday men kamzori ko raah di. Wo Allah ki wahi aur paimaan k muhafiz thay aur Uss k hukmon ko phailaanay ki dhun men lagay rahnay waalay thay yahaan tak k Unhon ne roshni dhoondhnay waalay k liay sholay bharkaa diyay aur andhairay men bhataknay waalay k liay raasta roshan kar dia. Fitnon aur fasaadon men sargarmiyon k baad dilon ne Aap S.A.W.W ki waja se hidayat paai (Khutba 70 Nehjul Balagha)


Jab logon ne Usman ki bayat ka iraada kya to Hazrat Ali AS ne farmaya: Tum jaantay ho k Mujhay auron se ziada khilaafat ka huq puhanchta hai. Khuda ki qasam jab tak musalmaanon k amoor ka nazm o nasq barqaraar rahay ga aur Meri hi zaat zulm o joar ka nishaana banti rahay gi, Mein khaamoshi ikhtiyaar karta rahoon ga taakay iss sabar par Allah se ajr o sawaab talab karoo’n aur iss zaib o zeenat aur iss aaraaish ko thukraa doo’n jiss par tum mittay huay ho (Khutba 72 Nehjul Balagha) 


Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda iss shaks par raham karay k jiss ne hikmat ka koi kalma suna to issay giraah men baandh liya. Hidaayat ki taraf ussay bulaaya gya to dor kar qareeb hua. Saheeh Rahbar ka daaman thaam kar nijaat paai. Allah ko har waqt nazron men rakha aur gunaahon se khof khaaya, amal be riya paish kya. Naik kaam kiay, sawaab ka zakheera jama kya, buri baato’n se ijtinaab barta, saheeh maqsad ko paa liya, apna ajar samait liya, khuwaahishon ka muqaabla kya. Umeedon ko jhutlaaya, sabar ko nijaat ki sawaari bana liya, moat k liay taqwaa ka saaz o saamaan kya. Roshan raah par sawaar hua. Haq ki shaahraah par qadam jamaaey. Zindagi ki muhlat ko ghaneemat jaana, moat ki taraf qadam barhaaey aur amal ka saamaan saath lya. (Khutba 74 Nehjul Balagha)


Bani Ummaya par tabbarra kartay huay Hazrat Ali AS ne farmaya: Bani Ummaya Mujhay Muhammd S.A.W.W ka wirsaa thora thora kar k daitay hen. Khuda ki qasam agar Mein zinda raha to inhain iss tarah jhaar phainkoo’n ga jiss tarah Qasaai, khaak aalooda gosht k tukray se matti jhaar’ daita hai (Khutba 75 Nehjul Balagha) 


Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey Allah Tu unn cheezon ko baksh day jinnhain Tu mujh se zyaada jaanta hai (yaani sab kuch baksh day). Agar Mein gunaah ki taraf paltoo’n to Tu apni maghfirat k saath palat. Baar e ILaaha Jiss amal e khair k bajaa laanay ka Mein ne Tujh se waada kya tha, magar Tu ne ussay poora hotay huay na paaya, ussay bhi baksh day. Meray Allah zabaan se niklay huay wo kalamay jinn se Tera qurb chaaha tha magar dil se aisa na chaah saka, unn ko bhi maaf karday. Parwardigaar Tu aankhon k (tanziyaa) ishaaron aur naa shaaista kalmon aur dil ki (buri) khuwaahishon aur zabaan ki khataaon ko maaf farma. (Khutba 76 Nehjul Balagha) 



Hazrat Ali AS ne aik najoomi se farmaya: Kya tumhara ye khayal hai k tum uss waqt ka pata daitay ho k agar koi iss men niklay to iss k liay koi buraai na hogi aur iss lamhay se khabardaar kartay ho k agar koi iss men niklay to ussay nuqsaan dar paish hoga. Jiss ne issay (ilm e najoom) ko saheeh samjha uss ne Quran ko jhutlaaya aur maqsad ko paanay aur museebat ko door karnay men Allah ki madad se be niaaz ho gaya. (Khutba 77 Nehjul Balagha)



Hazrat Ali AS ne farmaya: Aey logo (ILM-e) Najoom k seekhnay se parhaiz karo magar itna (seekh saktay ho) k jiss se khuski aur tari men raastay maaloom kar sako iss liay k (ILM-e) Najoom ka seekhna mustaqbil shanaasi aur ghaib goi ki taraf le jaata hai aur najoomi, hukam men kaahin jaisa hai aur kaahin jaadoogar jaisa aur jaadoogar kaafir jaisa hai aur kaafir ka thikaana jahannum hai. (Khutba 77 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Mein iss daar e dunya ki haalaat kya bayaan karoo’n jiss ki ibtedaa gham aur intehaa fana ho. Jiss k halaal men hisaab aur haraam men azaab ho. Yahaan koi maal daar ho to fitnon se waasta aur faqeer ho to gham se saabqa rahta hai. Jo dunya k liay koshish men laga rahta hai uss ki dunyaawi aarzooen barhti hi jaati hen aur jo inn koshishon se haath utha laita hai, dunya khud hi uss se saazgaar ho jaati hai (Khutba 80 Nehjul Balagha) 

No comments:

Post a Comment