Sunday, 22 September 2013

Short Sayings of Hazrat Ali a.s

Sayings of Imam Ali a.s in URdu

Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo shaks dunya ki ibrato’n ko aaena samajh kar daikhta hai to wo uss ki aankhon ko roshan aur beena kar daiti hai aur jo sirf dunya hi par nazar rakhta hai to wo uss ko naabeena bana daiti hai (Khutba 80 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Fitna o Fasaad men iss tarah raho jiss tarah oont ka wo bacha jiss ne abhi umar k 2 saal khatam kiay ho’n k na to us ski peeth par sawaari ki jaa sakti hai aur na iss k thano’n se doodh doha jaa sakta hai (Hikmat No 1 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Jiss ne laalach ko apnaaya, uss ne apnay ko sharamsaar kiya, jiss ne apni paraishaan haali ka izhaar kiya, wo zillat par aamaada ho gaya aur jiss ne apni zabaan ko qaaboo men na rakha, uss ne khud apni be wuq’ati ka saamaan kar liya (Hikmat No 2 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Kanjoosi baaes e sharam hai aur buzdilli nuqs o aeb hai (Hikmat No 3 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Ghurbat, aqalmand aur daana mard ki zabaan ko dalaail ki quwwat dikhaanay se rok daiti hai. (Hikmat No 3 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Muflis apnay shehar me’n rah kar bhi ghareeb ul watan hota hai (Hikmat No 3 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Aqalmand ka seena, uss k raazo’n ka makhzan (jahaa’n khazaana rakha jaaey) hota hai (Hikmat No 5 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo shaks apnay aap ko buhat pasand karta hai, wo doosro’n ko naa pasand ho jaata hai (Hikmat No 6 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Sadqa kaamyaab dawaa hai (Hikmat No 6 Nehjul Balagha)

1 comment: