Sunday, 22 September 2013

Nehjul Balagha in urdu

Extracts From Nahjul Balagha in Urdu 


Hazrat Ali AS ne farmaya: Jis cheez ko tumharey marnay waalon ne daikha hai agar tum bhi inhen daikh laitay to ghabra jaatay aur pareshaan aur muztarib ho jaatay aur (haq ki baat) suntay aur is par amal kartay. Lekin jo unhon ne daikha hai wo abhi tum se posheeda hai aur qareeb hai k wo parda utha diya jaaey. Agar tum daikhnay waali aankh aur sun’nay waalay kaan rakhtay ho to tumhen sunaya aur dikhaya jaa chukka hai aur hidayat ki talab hai to to tmhen hidayat ki jaa chuki hai. Men sach kehta hun k ibraten tumhen buland aawaaz se pukaar chuki hen aur dhamkaany waali cheezon se tumhen dhamkaya ja chukka hai (Khutba No 20 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Tumhari manzil e maqsood tumharay saamnay hai. Moat ki saa’at tumharay peechay hai jo tumhen aagay ki taraf le chal rahi hai. Halkay phulkay raho taakay aagay barhnay waalon ko paa sako. Tumharey aglon ko pichlon ka intezaar karaya jaa raha hai.(Khutba 21 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne apnay dushmanon par tabbara krtay huay farmaya: Agar in logon ne ataa’t se inkaar kya to Mein talwaar ki baar in k saamnay rakh doon ga. Jo baatil se shifa denay aur haq ki nusrat k liay kaafi hai. Hairat hai k wo Mujhay ye paighaam bhijwaatay hen k men naiza zani k liay maidaan men utar aaoon aur talwaaron ki jang k liay datey rehnay par tayyar rahoon. Ronay waaliyaan in k gham men roen Mein to hamesha aisa raha hoon k jang se mujhay dhamkaya nahi jaa saka aur shamsheer zani se khofzada nahi kya jaa saka aur Mein apnay Parwardigaar ki taraf se yaqeen k darjay par faaiz hoon aur apnay deen ki hifazat men Mujhay koi shak nahi hai. (Khutba 22 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Jab tak koi mard musalmaan kisi aisi zaleel harkat ka murtakib nahi hota k jo zaahir ho jaaey to is k tazkiray se ussay aankhen neechi karna parain aur jis se zaleel aadmiyon ki jurrat barhay wo is kaamyaab jawaari ki maanind hai jo juay k teeron ka paansa phenk kar pehlay marhaley par hi aisi jeet ki tawako rakhta hai jis se issay faaida haasil ho aur pehlay nuqsaan ho bhi chukka hai to door ho jaey (Khutba 23 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Beshak maal o aulaad dunya ki khaiti aur amal e saaleh aakhirat ki kisht e zaar hai aur baaz logon k liay Allah in donon ko yakja kar daita hai. Jitna Allah ne daraaya hai itna US se dartay raho aur itna US se khof khao k tumhen bahaana na karna parey. Amal baghair dikhaway k karo is liay k jo shaks kisi aur k liay amal karta hai Allah uss ko ussi k hawaalay kar daita hai. Hum Allah se shaheedon ki manzilat, naik logon k saath aur Anbiyaa ki rafaaqat ka sawaal kartay hen.(Khutba 23 Nehjul Balagha)


Ghareeb logon ki madad karnay waalay k baarey men Hazrat Ali AS ne farmaya: Allah jis shaks ka sacha zikr e khair logon men barqaraar rakhta hai to ye us maal se kaheen behtar hai jis ka wo doosron (yani apni aulaad o ko waaris bana kar jaaey (Khutba 23 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: Jo shaks apnay qabeelay ki madad se haath rok laita hai to is ka to (sirf) aik haath rukta hai lekin waqt parnay par buhat se haath us ki madad se ruk jaatay hen. (Khutba 23 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mujhay apni zindagi ki qasam, Mein haq k khilaaf chalnay waalon aur gumraahi men bhataknay waalon se jang men kisi qisam ki choot,riaa’yat aur susti nahi karoon ga. Allah k bando Allah se daro aur US k ghazab se bhaag kar US k daaman e rehmat men panaah lo. Allah ki dikhae hui raah par chalo aur US k aaed karda ahkaam ko baja laao.(Khutba 24 Nehjul Balagha)

Baatil k chaa jaanay aur haq k kamzore parnay ki wajah bataty huay Hazrat Ali AS ne farmaya: Allah ki qasam Mein to ab un logon k baarey men ye khayaal karnay laga hoon k wo jald hi saltanat o dolat ko tum se hathiyaa lain gay. Is liay k wo (markaz e) baatil par mutahid o yakja hen aur tum apnay (markaz e) huq se juda aur muntashir ho. Tum amr e haq men apnay imam k nafarmaan aur wo baatil men bhi apnay imam k mutee o farmaa’n bardaar hen. Wo apnay saathi k saath amanat daari k farz ko poora kartay hen aur tum khayanat karnay se nahi chooktay(Khutba 25 Nehjul Balagha)

1 comment: