Sunday 22 September 2013

Khutbaat From Nehjul Balagha



Hazrat Ali AS ne farmaya: Ahlebait sir’r e Khuda (raaz e Khuda) k ameen aur Is k deen ki panah gaah hen. Ilm e ILAHI k makhzan aur hikmaton k marjay hen. Kutab (aasmaani) ki ghaatiyaan aur deen k pahaar hen. Inhi k zariyay Allah ne is (deen) ki pusht ka kham seedha kya aur is k pehluon se kamzori ki kapkapi door ki (Khutba No 2 Nehjul Balagha)


Hazrat Ali AS ne farmaya: is ummat men se kisi ko Aal e Muhammad S.A.W.W par qayaas nahi kya ja sakta. Jin logon par Un k ahsaanaat hamesha jaari rahay hon wo in k barabar nahi ho saktay. Wo deen ki bunyaad aur yaqeen k satoon hen. Aagay barh jaanay waalay ko in ki taraf palat kar aana hai aur peechay reh jaanay waalay ko in se aa kar milna hai. Haq e wilaayat ki khasoosiyaat inhi k liay hen aur inhi k baarey men Paighamber ki wasiyat aur inhi k liay wirasat hai(Khutba No 2 Nehjul Balagha)

Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda ki qasam Abu Talib ka baita moat se itna maanoos hai k bacha apni maan ki chaati se itna maanoos nahi hota. Albata aik ilm posheeda meray seenay ki tahon men lipta hua hai k isay zaahir kar doon to tum isi tarah paich o taab khaanay lago gay jis tarah gehray kunwen men rasiyaan larazti aur thartharaati hen (Khutba No 5 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda ki qasam jab se Allah ne apnay Rasool S.A.W.W ko dunya se uthaya, us waqt se doosron ko mujh se muqaddam rakha gaya aur mujhay meray haq se mehroom rakha gaya (Khutba No 6 Nehjul Balagha)

Mukhalifeen par tabbara krtay huay Hzrt Ali AS ne farmaya: inhon ne har kaam ka karta dharta shaitaan ko bana rakha hai aur is ne in ko apna aalaa e kaar bana lia hai. Is (Shaitaan) ne in k seenon men anday diay hen aur bachay nikaaley hen aur inhi ki gode men wo bachay reengtay aur uchaltay koodtay hen. Wo dekhta hai to in ki aankhon se aur bolta hai to in ki zabanon se. is (Shaitaan) ne inhen khataaon ki raah par lagaya hai aur buri baaten saja kar un k saamnay rakhi hen (Khutba No 7 Nehjul Balagha)
Jang k baad Apnay mukhalifeen k baarey men Hazrat Ali AS ne farmaya: Wo raad ki tarah garjay aur bijli ki tarah chamkay magar in donon baton k baawajud buzdili hi dikhae aur Ham jab tak dushman par toot nahi partay garajtay nahi aur jab tak (amli tor par) baras nahi laitay (lafzon ka) sailaab nahi bahaatay (Khutba No 9 Nehjul Balagha)

No comments:

Post a Comment