Saturday 21 July 2012

Saying of Mola Ali a.s


1. Mola Ali (AS) ne farmaya : :Jo duniya chahta hai usay maut dhunti hai taake usay duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai usay duniya dhundti hai taake uski rozi oos tak pahu’ncha de.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)

2.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Char cheez Jannat ki taraf bulati hai: Musibat ko chhupana, chhupakar sadqa dena, waledain se neki, aur bahut zyada ‘La elaha Illallah’ kehna.Source : Tajalliyate Hikmat

3. Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo koi raat ko sone se pehle 3 baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe, to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege.Source : Uddatud Dai

4.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Logon ke darmiyan aise raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse.Source : Nahjul Balagah (Saying 9)

5. Mola Ali (AS) ne farmaya : Sab se bada aib ye hai k tum un baton ko doosro’n k liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Aib-1)

6. H. Ali (AS)Neend kitni buri cheez hai jo qaleel (Chhoti) umr ko kam kar deti hai aur kaseer (zyada) ajr o sawab ko khatm kar deti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Neend)

7.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jisne tabeeb (doctor) se apni bimari chhupayi, usne apne jism ke saath khayant ki. Source : Tajalliyate Hikmat (Bimari)

8.  Mola Ali (AS) ne farmaya :Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato’n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Namaz)

9.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Tumhare nafso’n ki JANNAT ke siwa koi aur qeemat nahi, lihaza is ko Jannat ke alawa kisi aur cheez ke badle me (hargiz) na becho.Source : Tajalliyate Hikmat (Jannat)

10.  Mola Ali (AS) ne farmaya : (ILAHI) mai ne teri ibadat na tere Jahannum ke khauf se ki hai aur na teri Jannat ki laalach me, balke maine tujhe ibadat ke layak paya is liye teri ibadaat ki.Source : Tajalliyate Hikmat (Ibadat)

11.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Bad’tareen takabbur / ghamand insaan ka apne rishtedaro’n aur apne hi jaise logo’n se takabbur karna.Source : Tajalliyate Hikmat (Taqabbur)

12.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo shakhs ek maaldar aadmi ke paas agar sirf uski daulat ki wajah se jaata hai aur uski izzat karta hai, to who apna do-tihaai (two-third) mazhab kho deta hai.Source : Islamic Morals (13-Greed & its harms)

13.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Ai logo’n! Jab kabhi tum kuch sikho to us par amal karo, taaki tumhe hidaayat haasil ho.Source : Islamic Morals (2- Rebuke for those..)

14.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo duniya ki khidmat karta hai duniya usay apna khadim bana leti hai & jo Allah Ta’la ki khidmat karta hai, duniya uski khadim ho jati hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)
15.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Moazzin ki (azaan ki) awaaz par (namaz ke liye) daud padne se rozi badhti hai. Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)

16. Mola Ali (AS) ne farmaya: Kisi k gunaah beparda karne me jaldi na karo kyu k wo maaf ho sakte hai, & apne 1 chhote gunaah se bhi khud ko mehfuz na samjo kyu k tumhe iski sazaa ho sakti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Gunaah)

17.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jab Allah kisi bande ko zaleel karna chaahta hai to ilm ka darwaza uske liye band kar deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)

18.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Haq se badhkar taarif karna CHAAPLUSI hai; aur haq se kam taarif karna ya to bolne ki kamzori hai ya phir HASAD (jealousy) hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Taarif)

19.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Tumhare 3 dost hai & 3 dushman. Tumhare dost matlab tumhara dost, dost ka dost, dushman ka dushman. Tumhare dushman matlab tumhara dushman, dost ka dushman, dushman ka dost.Source : Tajalliyate Hikmat (Dost)

20. Mola Ali (AS) ne farmaya : Aalim jaahil ko samajh sakta hai kyun k wo pehle kabhi jaahil tha. Jaahil aalim ko nahi samajh sakta kyun k wo pehle kabhi aalim na tha.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
21.  Mola Ali (AS) ne farmaya : FITNO’N aur BIDA’TO’N ki alaamatei’n (nishani) NA BANO balke ehle jamaat ne jo kuchh tai kiya hai OOSI KE paaband raho.Source : Tajalliyate Hikmat (Giroh, Jamaat Pg 107)

22.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Sabse badtareen dost wo hai jiske liye rasmo-riwaj (formality) nibhani padti hai.Source : Nahjul Balagah H. Ali (AS) Bila shubah, aaj amal hai hisaab nahi aur kal hisab hoga amal nahi.Source : Tajalliyate Hikmat (Amal)

23.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Amal bagair kisi riyaakari ya dikhawe ke anjaam do, kyunki jo Allah ke ilawa kisi aur ke liye amal karta hai, to Allah usay oosi ke sahare chhod deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Riyaakari) 

24.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jiski tamannaei’n zyada hogi, uska amal kharab ho jaayega.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 22)

25.  Mola Ali (AS) ne farmaya :Jis se tum ne apni haajat bayaan kar di, uske saamne tum be-izzat ho gaye. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 53)

26.Mola Ali (AS) ne farmaya:Aye gunah par gunah kiye jaane wale! Tera baap (Janabe Adam) sirf ek gunah ki wajah se jannat se nikal diya gaya tha. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 88)

27. Mola Ali (AS) ne farmaya: Usay apna koi raaz na batao jiska koi raaz tumhare paas na ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 104)

28. Mola Ali (AS) ne farmaya: Aey Logo mughy tumhary bary main sabse ziada 2 baton ka dar hy. Ek Khwahishon ki pervi aur doosrey ummeedon ka phailao. Khowaheshon ki pervi vo chez hai jo haq se rok deti hai Aur ummeedon ka phelao aakhrat ko bhula deta hai. Nehjlblaga p#175

29. Mola Ali (AS) ne farmaya : Sabse badaa gunaah wo hai jiska karnewala oose chhota samjhe.Source : Greater Sins III

30.Mola Ali (AS) ne farmaya:Jiska raabita khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota,Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon

2 comments:

  1. MOLA ALI as saying that don't eat yogurt at night is that true?please confirm

    ReplyDelete
  2. masaallah bahut hi pyari site
    https://www.youtube.com/channel/UChG5vSfPpipoDilvO3ry_fg

    ReplyDelete